Best Shayaris of Munawar Faruqui on love, life, broken heart, success, attitude etc by eachquotes.com. Ek shayari likhi hai kabhi milogi to sunaunga by Munawar faruqui.

        At present Munawar Faruqui is one of the best stand up comedian in India. He was born in 1992 in Gujrat, India. His full name is Munawar Iqbal Faruqui. He has done Graphic designing course and worked as a graphic designer before entering into stand up comedy. He has a YouTube channel named as Munawar Faruqui which has more than  500K subscribers. He has nearly 150K followers on Instagram. He has been awarded as one of the popular stand up comedian. 

   He performs stand up comedy show in different cities of India. He makes jokes on politics mainly. He also has two songs on his YouTube channel and even roasting  video. His songs names are Nagpada ka rider and J.A.W.A.B.  Beside being a stand up comedian, he is a good poet(shayar) which he mainly post on Instagram. His main topics of shayari is love, broken heart, life, attitude and success. Here is best poetry/shayaris-

1) Hasi ki tijarat kar raha tha shehro mein
Rahaten dhundh raha tha tha gairo mein
Mujhe aane me der hui, Maaf karna
Apno ke tode kaanch the pairon mein

2) Wo dhundh rahen hain wajah mere muskurane ki
Nadaan mere sajdon se be-khabar hain


3) Wo juthe waade karte hain magar milne nahi aate
Hum bhi kambakht ye ishq se baaz nahi aate

4) Wo gumaan me jee rahen hain khud ki wafa ke
Unhe bas koi meri yaad mat dilana


5) Sabr kar betha hoon, jaise tera farz nahi 
Mujhe teri zarurat, tujhe koi garz nahi
Khoya mene apni har pyari cheez ko
Tera chala jana koi mera pehla Dard nahi

6) Bachpan ke us gareeb bachche se shart lagai hai
Maine khuwab ke khatir nind ko aag lagai hai


7) Bazaron ki raunaq lot aayi hai
Lagta hai woh be-parda bazaar aayi hai

8) Wo jinda hain mujhme meri rooh me utar ke 
Uske dard jaate hain meri rahon se guzar ke 
Mujhe malal hai uske bina guzare har ek lamhe ka
Or wo sharmindah bhi nahi apne vadon se mukar ke


9) Haqikat tu ban na saka khair khawab ban ke aa jana
Mehfil saje jab be wafaon ki tu hissa lene aa jana
Tere liye jalaya hain mene khudko 
Waqt mile to rakh par tamasha karne aa jana. 

10) Tarazoo nahi hain inke paas mere sach tolne ke liye
Ungli utha rahe hain ye juthe mujhe todne ke liye 
Jara batao inhe kis rab ka banda hoon
Jo 1 raasta band karta hai, 100 kholne ke liye. 


11) Aise hi kala nahi uske aankhon ka kajal
Kai aashiq jale honge
Zaruri nahi ke sab jale honge 
Kuch honge bad-naseeb jo bache honge. 

12)Ye nafrat karne wale mujhse firse sawaal kar rahen hain
Inhe koi yaad dilao mera J.A.W.A.B inse bardasht nahi hoga. 


13) Kehna shayd kitna mushkil hoga tujhe kitna chahta hoon
Tere aane wale hichkiyon ke liye maafi chahta hoon. 

14) Wo khawab kandho pe liye chalte hain
Wo naseeb hathon me liye chalte hain
Dard to duniya roj deti rahegi chote
Chal is dard me sath muskura ke chalte hain. 


15) Is mitti ka hoon yahin meri sachchai hai
Hara rang tirange ka meri parchhai hai
Rohit khata hai kheer meri 
Mene bhi kai modak khaye hain
Ghola gaya hai jo woh
Zeher bhi toh sarkari hai
Be-wafa hua agar mulk se toh
Sajdon se bhi nahi maaf karega khuda
Mera toh imaan hi mere
Desh se wafadaari hai
Issi mitti ka hoon 
Aur yahin meri sachchai hai. 

16) Wo samajhte hain aasaan hai mere jooton mein chalna 
Anjaan hain mere us safar se jo mene nange paun tay kiya hain. 


17) Tera kaam jalana sahi, mera kaam bujhana hai
Tujhme aur mujhme fatq hai chote aur wo humesha rahega. 

18) Kuchh rasta likh dega
Kuchh main likh dunga
Wo agar mushkil likhta raha 
Main manzil likh dunga. 


19) Behti hui woh,ruka hua main
Muqammal si woh, toota hua main. 

20) Na jaane kon sa gunaah kar liya 
Dil ko mene vasvaso ka ghar ka liya hai. 



21) Naa ban saka mujh se ye chota sa ghar
Khuda ye tune kaise ye saara jahan bana dala. 

22) Rakh yakeen ae bande, 
Tera bhi waqt aayega
Khud tu karle Kabil
Khuda bhi lil jayega. 


23) Zyada farq nahi hai aap me aur hum me
Naqab to humne bhi pehen rakha hai
Aap ne humdard hone ka pehen rakha hai
Aur humne anjaan hone ka. 

24) Aankho ka sukoon toh
 kisi ke dil ka thandak ho gaya
Ahsaas na hua mujhe
Me toh pighalta huwa barf ho gaya
Ek mauka mil hi gaya mujhse jalne walon ko, 
Jaate jaate unki jalan ki rahat ban gaya. 


25) Dard dene wale ek din jaroor doobenge
Mera yaqeen to samundar se bhi gehra hai. 

26) Ye dhoop chubh rahi hai Maa
Kash tera saaya mujhpe hota. 


27)Jal rahen hain woh mujhe khush dekhkar
Koi unhe mera dard bata kar khush kardo. 

28) Dafan hai mujh me kitne ranj-o-gam na pucho
Bujh bujh ke jo roshan raha wo 'Munawar' hun main. 


29) Soch hoon, nadaan hoon
Sabr karne wala to kabhi be-karaar hoon
Tezz shayar to kabhi bezuban hoon
Khareed paana bas ka nahi tere, 
Tu ameer sahi, main nayaab hoon. 

30) Tum zid liye bethe ho mera naam nahi loge
Fir yaad karke ye hichkiyan kyun de rahe ho. 


31) Khud aawaz hoon tere jaisa shor nahi
Tikne wala hun, guzar jau wi daur nahi
Tu karle lakh koshish mitane ki
Dhool hun, udta rahunga 
Doobne wala paththar nahi. 

32) Har jagah bade mayus se chehre nazar aa rahe hain
Lagta hai ab usne sajna sawarna bandh kar diya hai. 


33) Qabil hota to duniya tere paas rakh deta 
Jaane se behtar Tu mere sar par hath rakh deta
Tujhe laga main dil ki baat chupai
Tu ek baar dil toh lagata
Main kisse apne be-hisab rakh deta. 

34) Sirf andaza laga naa sahi nahi
Kahani mene ab tak kahi nahi
Achche waqt par aa gaye tum humdard banke 
Khair ye zamana hi aisa hai galti tumhari nahi. 


35) Ek tarfa mohabbat ke kisse mujhe mat sunao
Mene uske baad khud se bhi mohabbat nahi ki. 



36) Ek shayri likhi hai
Kabhi milogi to sunaunga

Teri seerat saaf shishe ki tarah
Mere daaman me daag hazaaron hain

Tu nayaab kisi paththar ki tarah
Mera uthhna bethhna bazaaron me hai

Teri mojoodgi ka ehteraam kar bhi lun
Jab hoga roobaruh to ye zazbaat kahan chupaunga

Ek umr leke aana
Main khali kitaaben le aaunga

Tod kar laane ke waade nahi
Main apni kalam se sitaare sajaunga 

Meri sabr ki intehaa par shak kaisa
Mene tere aane jaane pe ta umr likhi hai 

Zameen pe koi khaas nahi mera
Tu ek baar qubool kar me apne gawahon ko aasmaa se bulwaunga

Ek shayri likhi hai 
Kabhi milogi to sunaunga
Munawar Faruqui Shayari Part 2

1) Tootne pe inki khawahish poori hogi
Sahi kehte hain main sitaara ban gaya hoon ~ Munawar Faruqui



2) Haath kaanpe mere chalun ab kaise
Sabak jo sikhe tujhse unko ab mein bhoolon kaise



3) Rizq ki parwah nahi, jo likhe hai woh milega
Wrist ki kala dekh, jo likhun mein wo bikega



4) Uske intezaar me likhta hoon ab mein rukoon kaise
Wo aaj gali se gujra hai mein aage likhun kaise
Gamaane husn hai shayed unko khud pe
Ab me imaan par rehkar taqabbur sikhun kaise



5) koi kehta hai tera aana mushkil hoga
Koi kehta hai tera jaana mushkil hoga
Khuda ne khushiyan failaane bheja hai
Yaqeen karo rok paana mushkil hoga



6) Din bhar hasti shakal leke chalna
Rote sajdon me aur geele taqiyon par sona



7) Puchenge kiski hai ye lohe jaise legacy
Kehna wo dongri waala aag leke aaya tha



8) Mere gham ko meri hasi me daba betha hai
Raahaton ka daur meri raahon me loota betha  hai
Woh kya zaleel karega meri zaat ko
Jabki mera khuda mera gunaah maaf kiya betha hai



9) Rehmat hazaar lekin mohabbat se mehsoos rahunga
Mat puchho mujhse shikayat unki  khuda se karunga
Mere naam ka zikr ho to dua bhejna sukoon ki
Main munawar marne ke baad bhi mash-hoor rahunga



10) Main apni karvaton ka hisaab liye betha hoon
Main raazdaar unke raaz liye betha hoon
Nahi hai gharz ab koi parchhai bane meri
Main apne saaye se nafrat kiye betha hoon



11) Loot kar aabroo uski, zaalim tujhe neend kaise aayi hogi
Barbbad kar usse, ghar jaa kar tune apni behen se kaise nazar milai hogi



12) Pyaar wahi hai, bas batana chhod diya
Mehfil pasand teri bas aana chhod diya
Kam ziddi nahi hai  wafa yeh meri
Tune jab se aajmana chhoda
Mene bhi  manana chhod diya



13) Ab nahi hain hum charago ke mohtaaj
Uski aankhen mehfile roshan karti hain
Main kitaaben fir se almari me rakh aaya hoon
Suna hai wo ba kamaal insaan padhti hai



14) Bina hajj ke maine sawaab ko dekha hai
Mene muskura kar Iqbal ko dekha hai
(Here iqbal is his father)


 
15) Main bojhh leke chala hoon ummeedon ka
Badi mashqat se manzil dikhi hai
Roshni ke naam bas charag tha paas
Maine ye subah raat jaag kar likhi hai



16) Faayda uthaaya hai
Mujhe nazar andaaz bhi kiya hai
Suna ke fasaane jhoot ke
Mujhe barbaad kiya hai
Main bhi zimmedaar hoon meri zillat ka
Maine gairon par nahi apno par aitbaar kiya hai



17) Wo mujhe door karne ki zid liye betha hai
Mere saath nahi chalega lekin manzil ka waada kar betha hai
Mujhe mohabbat hai samundar ke lehron se
Aur mera mehboob pahodon ko dil diye betha hai



18) Tere jalaal se ab tak ye duniya be khauf thi
Gunaahon se bhari inki shame shauk thi
Jaane kis ke sajdey se chal raha hai nizaam duniya ka
Qayamat ke liye us bachche ki bhook bahot thi



19) Zimmedaar hoon me khud apni kahaani ka
Zimmedariyon ne kabhi khud ke liye jeene nahi diya



20) Mene khwaab saare jaagte huve hi dekhe the
Tumhe meri neend udakar bhi khasara hua



21) Khuda nahi main bas insaano se juda hoon
Umar se nahi tajurbon se budha hoon



22) Sood haraam hai, mujhe rakhne dues nahi aate
Andhe hain ye bulb saare inke fuse nahi aate
Sirf naam ke hain ye noobde
Jab tak naam nahi lete mera inke channel par views nahi aate



23) Haath thande, dil me aag liye betha hoon
Chehre pe hasi, aankhon me aag liye betha hoon
Parwaah nahi mujhe in be-neend raaton ki
Mein khwaabon ko poore karne ki zidd liye betha hoon



24) Jab jab mere daam badhe hain
Tab tab mujhpe ilzaam badhe hain

Aaj unki taraf ungliyaa
Aur mere liye duaaon me haath khade hain



25)  Sirf andaaza laga naa sahi nahi
       Kahani maine ab tak kahi nahi
       Acche waqt pe aagaye tum Humdard banke?
       Khair yeh zamana hi aisa hai,
       Galti tumhari nahi.



26)  Sukoon ke khawab mere naam nahi kar rahi
       Yeh Dawa e nind ab mujhpe kaam nahi kar rahi
       Mere dard ka gunnah unke sar par hai
       Yeh tarbiyat hai meri joh unhe badnaam nahi kar rahi



27) Uddna nahi hai, bas chalna sikh loon.
         Zulm na ho kisi pe mujse,
         Me woh Rahem sikh loon.
         Kaabil nahi hoon, jo kuch mila hai,
         Darr hai, kanhi Chaal Ghamand naa sikh loon.
         Mehnat, izzat, koshish, shikayat sab kar li mene
         ab karna thoda Sabr sikh loon



28)Koi khaas dushmani nahi mujhse tumhari
    Mere sapno se choti hai Riyasaten tumhari

       Mere paron ko kaatne ki nakaam koshish mubarak ho
       Mere khuda se unchi nahi hai pahonch Tumhari



29) Phal hi itne lage huwe the iss ped pe
       Unka patthar maarna lazmi tha



30) Koi nahi wakif kitne Dard liye chalta hoon
   Toot jata hun har subha jab aaina dekhta hoon
  Has ke milta hun, jhoom ke chalta hoon  Mai har roz aise kitno ko Daga deta hoon



31)   Zulm karne wale Ek din zarur Doobenge

         Mera Yakeen toh samandar se bhi gehra hai..



32) Aankho ka sukoon toh
         kisi ke dil ki thandak ho gaya,
         Ahsaas na huwa muje,
         Me toh Pighalta huwa Barf ho gaya,
         Ek Mauka mil hi gaya mujse jalne walon ko,
         Jate jate unki jalan ki rahat ban gaya..



33) Suno, tum khawab dekho
   Mai pure karke aata hoon.



34) Koi Thokar khake betha tha,
         Koi ghum mein Dooba tha,

         Kisi ne bade dard sahe the
         Toh koi barbaad huwa tha,

         Fir bhi Jeet gaya uss
         Dard ki Mehfil mein,

         Main hi akela insaan tha
         jo bina “MAA” ke pala tha.



35) Woh Pyaar, Padai, Zimmedari
         Rishtey sab liye chalte hai,

         Kitna tadpa raha hai Zamaana
         Jane kaise bina ruke chalte hai, .

         Dard aise chupate hai
         jaise koi Gunaah kiya ho

         Woh har raat Ghar muskurata
         Chehra liye chalte hai.



36) Hasi me apni pyaar bharle,
         Dekh manzil hai aage!

         Mushkil toh Mahel bana na hai munawar
         tu bas logo ke Dilon
         me ghar bana le..



37) Yeh Dhoop chub rahi hai MAA
       Kash tera saaya mujhpe hota



38) Subha mukammal hai, zarur aayegi
         Kaali hai jo Raat yeh, Guzar jayegi

         Tu saaf rakh ke Niyyat ko chalte rehna,
         Yeh Mushkil Raaste mai Manzil Zarur aayegi.



39) Ek tarfaa Mohabaat ke kisse mujhe mat sunao
      Maine uske baad Khud se bhi mohabbat nahi ki.



40) Zulfein jo khole huwe ho, bandh kardo
      Kitne Dil todoge? ab bas kardo

      Ek hi Nazar se Marr jayenge kai
      Suno, Tum yeh kajal lagana bandh kardo


If you like the post then please subscribe to our website for further notications and posts. 

Articles included
Munawar Faruqui
Munawar Faruqui Shayari
Munawar Faruqui Poetry
Munawar Faruqui Birthday
Munawar Faruqui Instagram
Munawar Faruqui Youtuber
Munawar Faruqui Education
Munawar Faruqui Song
Munawar Faruqui Show
Munawar Faruqui Stand up comedian
Munawar Faruqui Comedian
Munawar Faruqui Stand up Comedy
Munawar Faruqui Dongri to nowhere
Munawar Faruqui Biography
Munawar Faruqui Age
Munawar Faruqui Gujrat
ek shayari likhi hai kabhi miloge to sunaunga lyrics
ek shayari likhi hai kabhi miloge to sunaunga
munawar faruqui quotes
munawar faruqui ek shayari likhi hai
nagpada ka rider lyrics in english
nagpada ka rider lyrics





















Popular Posts