Munawwar Rana and his best 50 shers/poetry on mother, love, village life etc by eachquotes
Munawwar Rana
One of the greatest Urdu poet, Munawwar Rana was born on 26 November, 1952 in Raebareli, Uttar Pradesh. He passed most of his life in Kolkata. He was admitted to a school named as Md Jan High School in Kolkata.
He uses hindi and aadhi language in his poetry and is a very popular name in Mushaira. He has been honored with many Awards such as Ghalib Award, Mir Taqi Mir Award, Dr Zakir Hussain, Sarasvatee Samat Award, and Sahitya Academy Award. He mainly wrote poetry on his mother. During India and Pakistan partition most of his relatives went to Pakistan but his father preferred to stay in India. He has also written poems on topic. He has also written several books named as Muhajirnama, Chehre Yaad Rehte Hain, Baghaer Naqshe Ka Makan, Jangali Phool etc.
Here is his some best sher--
1) Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahin hoga
Main ghar se jab nikalta huun dua bhi saath chalti hai ~Munawwar Rana
2) Jab bhi kashti meri sailab men aa jaati hai
Maan dua karti hui ḳkhuvaab men aa jaati hai ~Munawwar Rana
3) Kisi ko ghar me mila hisse me ya koi dukaan aayi
Me ghar me sabse se chhota tha mere hisse me maa aayi ~Munawwar Rana
4) Is tarah mere gunaaho ko vo dho deti hai
Maa bahut gusse me hoti hai to ro deti hai
~Munawwar Rana
5) Barbad kar diya pardes ne humen magar
Maa sab se keh rahi hai beta maje me hai
~Munawwar Rana
6) So jaate hai footpath par akhbar bichha kar
Majdur kabhi neend ki goli nahi khate
~Munawwar Rana
7) Farishte aa kar un ke jism par ḳhushbu lagate hain
Vo bachche rail ke Dibbon men jo jhadu lagate hain ~Munawwar Rana
8) Tumhara naam aaya aur ham takne lage rasta
Tumhari yaad aai aur khidki khol di ham ne ~Munawwar Rana
9)Kal apne aap ko dekha tha maa ki aankho me
Ye aaina kabhi booddha nahi batata hai
~Munawwar Rana
10) Hum sab ki jo dua thi use sun liya gaya
Foolo ki tarah aap ko bhi chun liya gaya
~Munawwar Rana
11) Barso se is makan me rehte hain chand log
Ek doosre ke saath wafa ke bagair bhi
~Munawwar Rana
12) Aap ko chehre se bhi bimaar hona chahiye
Ishq hai to ishq ka izhar bhi hona chahiye
~Munawwar Rana
13) Ek kisse ki tarah wo to mujhe bhool gaya
Ek kahani ki tarah wo hai magar yaad mujhe ~Munawwar Rana
14) Hum kuch aise tere didar me kho jaate hain
Jaise bachche bhari bazaar me kho jaate hain ~Munawwar Rana
15) Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha
Tumhare baad kisi ke taraf nahi dekha
~Munawwar Rana
16) Jindagi tu kab talak dar-dar firayegi hme
Tuta foota hi sahi ghar baar hona chahiye
~Munawwar Rana
17) Bhool paana bahut mushkil hai sab kuch yaad rehta hai
Mohabbat karne wala isliye barbaad rehta hai ~Munawwar Rana
18) Andhere aur ujale ki kahani sirf itni hai
Jahan mehboob rehta hai wahi mehtab rehta hai ~Munawwar Rana
19) Mitti me mila de ki juda ho nahi sakta
Ab isse jyada main tera ho nahi sakta
~Munawwar Rana
20) Muhajir hai magar hum ek dunya chhod aaye hain
Tumhare paas jitna hai hum utna chhod aaye hai ~Munawwar Rana
21) Pakakar rotiyan rakhti thi maa jisme saliqe se
Nikalte waqt wo roti ki daliya chhod aaye hai ~Munawwar Rana
22) Yakin aata nahi, lagta hai kachchi neend me shayed
Hum apna ghar, gali apna mohalla chhod aaye hain ~Munawwar Rana
23) Sabhi tyohar miljul kar manate the jab wahan the
Diwali chhod aaye hain, dashehra chhod aaye hain ~Munawwar Rana
24) Humen sooraj ki kirne isliye taqleef deti hain
Awadh ki sham, kashi ka savera chhod aaye hain ~Munawwar Rana
25) Gale milti hui nadiyan gale milte hue mazhab
Allahabad me kaisa najara chhod aaye hain ~Munawwar Rana
26) Humari kum nigahi ki saja hai phool kaghaz ke
Ki hum phoolon ko weerano me khilta chhod aaye hain ~Munawwar Rana
27) Ye chidiya bhi meri beti se kitni milti julti hai
Jahan bhi shauq-e- gul dekhe to jhoola daal deti hai ~Munawwar Rana
28) Ajeeb khel hai duniya tere siyasat ka
Main paidalo se peeta hoo wazeer hote huye ~Munawwar Rana
29) Ameeri resham-o-kam khuvab me nangi nazar aayi
Gareebi shan se ek taat ke parde me rehti hai ~Munawwar Rana
30) Zindagi bhar saanp se sharmindah rahe ye sun kar
Jab se insan ko kata hai phan dukhta hai
~Munawwar Rana
31) Baraste paaniyo me dhoop to ab bhi nikalti hai
Magar hum Khilkhila apna hansna chod aaye hain ~Munawwar Rana
32) Mere dushman kahi mil jaaye to itna bata dena
Meri talwaar ko kandhe pe sir acha nahi lagta ~Munawwar Rana
33) Jo ek patli sadak Unnao se Mohaan jaati thi
Wahin hasrat ke khuvabo ko bhatakta chhod aaye hain ~Munawwar Rana
34) Na ac tha na cooler tha magar loo ke jamane me
Hamare sath tha jo wo pankha chhod aaye hain ~Munawwar Rana
35) Wazu karne ko jab bethe to yaad aata hai
Ki ulzat me hum jamuna ka kinara chhod aaye hain ~Munawwar Rana
36) Siyasat ke bune jaal me hum phans gaye aakhir
Mohabbat se banaye ghar ka naqsha chod aaye hain ~Munawwar Rana
37) Yahan tak aate aate ajnabi hoti gayi khushboo
Dasehri bhi wahin chhooti safeda chhod aaye hain ~Munawwar Rana
38) Judi rehti hain yadon se bahut se aur bhi bahut yaadein
Banaras hum sewaiyan aur lachhchha chhod aaye hain ~Munawwar Rana
39) Bicha deta tha mausam ped ke niche sitaron ko
Abhi tak yaad hai hum ko jo mahua chhod aaye hain ~Munawwar Rana
40) Ye ab bhi soch lete hain to aankhe nam ho jaati hai
Ke pakke farsh ke khatir kharinjah chhod aaye hain ~Munawwar Rana
41) Mere hisse me na kitaabein na khilauna aaye
Khuwahish-e-rizq ne chheena mera bachpan mujhse ~Munawwar Rana
42) Wo sheher-e-lucknow jis par zamana naaz karta hai
Hum uski guftgu uska saleeqa chhod aaye hain ~Munawwar Rana
43) Miyaan kehkar humara gaon humse baat karta tha
Zara socho to hum bhi kaisa rutba chhod aaye hain ~Munawwar Rana
44) Aaj bhi gaon me kuch kachche makaano wale
Ghar me humsaye ka daawa hone nahi dete ~Munawwar Rana
45) Kuchh aisi dhaar thi usme ki paththar kaat deta tha
Bareilly ki dukaano me jo manjha chhod aaye hain ~Munawwar Rana
46)Kai din se musalsal khwab me aata hai ek chehra
Jo aakar ye batata hai ki kya kya chhod aaye hain ~Munawwar Rana
47) Wo baithak haan wahi baithak are haan haan wahi baithak
Jahan hum jaldbazi me apna hua chhod aye hain ~Munawwar Rana
48) Mahino tak to ammi neend me bhi badbadati thi
Sukahane ke liye chhat par pudina chhod aye hain ~Munawwar Rana
49) Baya ka ghonsla, Maina ki boli ko ok koyal ki
Jahan se ye saaz the saare wo bagiya chhod aaye hai ~Munawwar Rana
50) Tumahre sheher me MAYYAT ko sab kandha nahi dete
Humare gaon me CHHAPPAR bhi sab milkar uthate hai ~Munawwar Rana