40+ Best Mirza Ghalib Shayari of All Time -- eachquotes
Ghalib was great and most renowned poet and writer of Mughal era. The full name of him was Mirza Asadullah Baig Khan . He was born on 27 December 1779 in Agra . His grandfather came India after migration during the reign of Sah Alam ii .
He had different views towards the society and other cultural and religious activities. A big contribution of him was that he made Urdu language beautiful ,easy and gave it life. He did not received any formal education but learnt Arabic, Urdu and Persian from his teacher called Mulla Abdussamad.
He had written many letters in urdu . These letters are very famous and also are studied by students and teachers in all over the world. He is famous for his ghazals written in Urdu and Persian. He was bestowed with the title of " Dabir-ul-Mulk " by Bahadur Shah Zafar 2. He was also honoured by "Mirza Nisha ".
Galib could not attain fame during his lifetime but became famous and popular when he was no more. The great influential poet Mirza ghalib was died in 15 February 1869 in Delhi.
40+ Best Shayeri of Mirza Ghalib of All Time
1). Aa hi jaata vo raah par ghalib
2) Mohabbat mein nahin hai farq jiine aur marne ka...
Usi ko dekh kar jiite hain jis kafir pe dam nikle...
3) Ishq par zor nahin hai ye vo atish Galib
Ki lagae na lage aur bujhae na bane
4) Na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota
Duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota.
5) Ranj se khugar hua insaan to mit jaata hai ranj ....
Mushkilen mujh par padi'n itni ki asan ho gaye'n
6) Rakhte ke tumhin ustaad nahi'n ho galib
kahte hain agle zamane mein koe Mir bhi tha
7) Ham ko un se vafa ki hai ummid
Jo nahin jante vafa kya hai
8) Maut ka ek din muayyan hai
Niind q raat bhar nahi'n. aati
9) Kab vo sunta hai kahani meri
Aur phir vo bhi zabani meri
.
Phir vahi zindagi hamari hai
11) Ishq ne galib nikamma kar diya
Varna ham bhi aadmi the kam ke..
12) Ishq se tabiat ne ziist ka maza paaya
Dard ki dava paai dard-e-be-dava paaya
13) Kaaba kis munh se jaoge ghalib
Sharm tum ko magar nahin aati...
14) Puchta hain vo ki ghalib kaun hai
Koe batlao ki ham batlaen kya
15) Meharba'n ho kar bolalo mujhe chahe jis waqt.
Me gya waqt nhi hu'n k Aa bhi na sako'n
16) Mere pass se guzar ke mera haal tak na pucha
Mai ye kaise maan jau k wo duur jake Roya........
17) Kitne shirin hain tere lab ki raqib Galiyan kha ke be-maza na hua
18)Un ke dekhe se jo aa jaati hai muñh par raunaq
Vo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai.
19) Is sadagi pe kaun na mar jaae a -khuda
Ladte hain aur haath mein talvar bhi nahin
20).ham vahan hain jahan se ham ko bhi
Kuchh hamari khabar nahin aati
21) Aa hi jaata vo raah par ghalib
Koi din aur bhi jiye hote
22) Hoga koe aisa bhi ki ghalib ko na jaane
Shaer to vo achcha hai pa badnam bahut hai
23) Kahte hain jiite hain ummid pe log
Ham ko jiine ki bhi ummid nahin.....
24) Rone se aur ishq men be-baak ho gaye
Dhoe gaye ham itne ki bas paak ho gaye
25). Tum salamat raho hazar baras
Har baras ke hon din pachas hazar
26) Bak raha huun junun men kya kya kuch
Kuch na samjhe khuda kare koe
27) Jaan tum par nisar karta hu'n
Main nahin janta dua kya hai
28) Koe virani si virani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
29). Nikalna khuld se aadam ka sunte aae hain lekin
Bahut beabro ho kar tire kuche se ham nikle
30) Dil-e-nadan tujhe hua kya hai
Akhir is dard ki dava kya hai...
31) kaun hai jo nahin hai hajat-mand
kis ki hajat rava kare koe
32) . Jaan di di hui usi ki thi
Haq to yuun hai ki haq ada na hua.
33) main ne maana ki kuchh nahin ghalib
muft haath aae to bura kya hai..
34) Ya rab vo na samjhe hain na samjhenge miri baat
De aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur
35) Na sunogar bura kahe koe
Na kaho gar bura kare koe
36) Aaj ham apni pareshani e ḳhatir un se
Kahne jaate to hain par dekhiye kya kahte hain
37) Kya ḳhuub tum ne ghair ko bosa nahin diya
Bas chup raho hamare bhi munh men zaban hai..
38) leta nahin mire dil-e-avara ki khabar
ab tak vo janta hai ki mere hi paas hai
39) Lazim tha ki dekho mira rasta koe din aur
Tanha gaye Q ab raho tanhaa koe din aur...
40) Kaam us se aa pada hai ki jis ka jahan mein
Leve na koe naam sitam-gar kahe baghair