Ek shayari likhi hai kabhi miloge to sunaunga by Munawar Faruqui.Best Shayaris/Poetry Of Munawar Faruqui on love, attitude, struggle, life etc by eachquotes.com

At present Munawar Faruqui is one of the best stand up comedian in India. He was born in 1992 in Gujrat, India. His full name is Munawar Iqbal Faruqui. He has done Graphic designing course and worked as a graphic designer before entering into stand up comedy. He has a YouTube channel named as Munawar Faruqui which has more than 2.04 million subscribers. He has nearly 1.2 million followers on Instagram. He has been awarded as one of the popular stand up comedian. Currently he is doing a show called Lock up hosted by Bollywood actress Kangna Ranaut. 



   He performs stand up comedy show in different cities of India. He makes jokes on politics mainly. He also has 9 songs on his YouTube channel and even roasting  video.   Beside being a stand up comedian, he is a good poet(shayar) which he mainly post on Instagram. His main topics of shayari is love, broken heart, life, attitude and success. Here is best poetry/shayaris-


>Ek shayri likhi hai

Kabhi milogi to sunaunga


Teri seerat saaf shishe ki tarah

Mere daaman me daag hazaaron hain


Tu nayaab kisi paththar ki tarah

Mera uthhna bethhna bazaaron me hai


Teri mojoodgi ka ehteraam kar bhi lun

Jab hoga roobaruh to ye zazbaat kahan chupaunga


Ek umr leke aana

Main khali kitaaben le aaunga


Tod kar laane ke waade nahi

Main apni kalam se sitaare sajaunga 


Meri sabr ki intehaa par shak kaisa

Mene tere aane jaane pe ta umr likhi hai 


Zameen pe koi khaas nahi mera

Tu ek baar qubool kar me apne gawahon ko aasmaa se bulwaunga


Ek shayri likhi hai 

Kabhi milogi to sunaunga



1) Tootne pe inki khawahish poori hogi
Sahi kehte hain main sitaara ban gaya hoon ~ Munawar Faruqui


2) Haath kaanpe mere chalun ab kaise
Sabak jo sikhe tujhse unko ab mein bhoolon kaise



3) Rizq ki parwah nahi, jo likhe hai woh milega
Wrist ki kala dekh, jo likhun mein wo bikega



4) Uske intezaar me likhta hoon ab mein rukoon kaise
Wo aaj gali se gujra hai mein aage likhun kaise
Gamaane husn hai shayed unko khud pe
Ab me imaan par rehkar taqabbur sikhun kaise


5) koi kehta hai tera aana mushkil hoga
Koi kehta hai tera jaana mushkil hoga
Khuda ne khushiyan failaane bheja hai
Yaqeen karo rok paana mushkil hoga



6) Din bhar hasti shakal leke chalna
Rote sajdon me aur geele taqiyon par sona



7) Puchenge kiski hai ye lohe jaise legacy
Kehna wo dongri waala aag leke aaya tha



8) Mere gham ko meri hasi me daba betha hai
Raahaton ka daur meri raahon me loota betha  hai
Woh kya zaleel karega meri zaat ko
Jabki mera khuda mera gunaah maaf kiya betha hai



9) Rehmat hazaar lekin mohabbat se mehsoos rahunga
Mat puchho mujhse shikayat unki  khuda se karunga
Mere naam ka zikr ho to dua bhejna sukoon ki
Main munawar marne ke baad bhi mash-hoor rahunga


 
10) Main apni karvaton ka hisaab liye betha hoon
Main raazdaar unke raaz liye betha hoon
Nahi hai gharz ab koi parchhai bane meri
Main apne saaye se nafrat kiye betha hoon



11) Loot kar aabroo uski, zaalim tujhe neend kaise aayi hogi
Barbbad kar usse, ghar jaa kar tune apni behen se kaise nazar milai hogi



12) Pyaar wahi hai, bas batana chhod diya
Mehfil pasand teri bas aana chhod diya
Kam ziddi nahi hai  wafa yeh meri
Tune jab se aajmana chhoda
Mene bhi  manana chhod diya



13) Ab nahi hain hum charago ke mohtaaj
Uski aankhen mehfile roshan karti hain
Main kitaaben fir se almari me rakh aaya hoon
Suna hai wo ba kamaal insaan padhti hai



14) Bina hajj ke maine sawaab ko dekha hai
Mene muskura kar Iqbal ko dekha hai
(Here iqbal is his father)


 
15) Main bojhh leke chala hoon ummeedon ka
Badi mashqat se manzil dikhi hai
Roshni ke naam bas charag tha paas
Maine ye subah raat jaag kar likhi hai



16) Faayda uthaaya hai
Mujhe nazar andaaz bhi kiya hai
Suna ke fasaane jhoot ke
Mujhe barbaad kiya hai
Main bhi zimmedaar hoon meri zillat ka
Maine gairon par nahi apno par aitbaar kiya hai



17) Wo mujhe door karne ki zid liye betha hai
Mere saath nahi chalega lekin manzil ka waada kar betha hai
Mujhe mohabbat hai samundar ke lehron se
Aur mera mehboob pahodon ko dil diye betha hai



18) Tere jalaal se ab tak ye duniya be khauf thi
Gunaahon se bhari inki shame shauk thi
Jaane kis ke sajdey se chal raha hai nizaam duniya ka
Qayamat ke liye us bachche ki bhook bahot thi



19) Zimmedaar hoon me khud apni kahaani ka
Zimmedariyon ne kabhi khud ke liye jeene nahi diya



20) Mene khwaab saare jaagte huve hi dekhe the
Tumhe meri neend udakar bhi khasara hua



21) Khuda nahi main bas insaano se juda hoon
Umar se nahi tajurbon se budha hoon



22) Sood haraam hai, mujhe rakhne dues nahi aate
Andhe hain ye bulb saare inke fuse nahi aate
Sirf naam ke hain ye noobde
Jab tak naam nahi lete mera inke channel par views nahi aate



23) Haath thande, dil me aag liye betha hoon
Chehre pe hasi, aankhon me aag liye betha hoon
Parwaah nahi mujhe in be-neend raaton ki
Mein khwaabon ko poore karne ki zidd liye betha hoon



24) Jab jab mere daam badhe hain
Tab tab mujhpe ilzaam badhe hainAaj  Aaj unki taraf ungliyaa
Aur mere liye duaaon me haath khade hain



25)  Sirf andaaza laga naa sahi nahi

        Kahani maine ab tak kahi nahi

       Acche waqt pe aagaye tum Humdard banke?

       Khair yeh zamana hi aisa hai,

       Galti tumhari nahi.



26)  Sukoon ke khawab mere naam nahi kar rahi

       Yeh Dawa e nind ab mujhpe kaam nahi kar rahi

       Mere dard ka gunnah unke sar par hai

       Yeh tarbiyat hai meri joh unhe badnaam nahi kar rahi



27) Uddna nahi hai, bas chalna sikh loon.

         Zulm na ho kisi pe mujse,

         Me woh Rahem sikh loon.

         Kaabil nahi hoon, jo kuch mila hai,

         Darr hai, kanhi Chaal Ghamand naa sikh loon.

         Mehnat, izzat, koshish, shikayat sab kar li mene

         ab karna thoda Sabr sikh loon



28)Koi khaas dushmani nahi mujhse tumhari

    Mere sapno se choti hai Riyasaten tumhari

       Mere paron ko kaatne ki nakaam koshish mubarak ho

       Mere khuda se unchi nahi hai pahonch Tumhari.



29) Phal hi itne lage huwe the iss ped pe

       Unka patthar maarna lazmi tha



30) Koi nahi wakif kitne Dard liye chalta hoon

   Toot jata hun har subha jab aaina dekhta hoon

  Has ke milta hun, jhoom ke chalta hoon  Mai har roz aise kitno ko Daga deta hoon




31)   Zulm karne wale Ek din zarur Doobenge

         Mera Yakeen toh samandar se bhi gehra hai.




32) Aankho ka sukoon toh

         kisi ke dil ki thandak ho gaya,

         Ahsaas na huwa muje,

         Me toh Pighalta huwa Barf ho gaya,

         Ek Mauka mil hi gaya mujse jalne walon ko,

         Jate jate unki jalan ki rahat ban gaya.



33) Suno, tum khawab dekho

   Mai pure karke aata hoon.



34) Koi Thokar khake betha tha,

         Koi ghum mein Dooba tha,

         Kisi ne bade dard sahe the

         Toh koi barbaad huwa tha,

         Fir bhi Jeet gaya uss

         Dard ki Mehfil mein,

         Main hi akela insaan tha

         jo bina “MAA” ke pala tha. 




35) Woh Pyaar, Padai, Zimmedari

         Rishtey sab liye chalte hai,

         Kitna tadpa raha hai Zamaana

         Jane kaise bina ruke chalte hai, .

         Dard aise chupate hai

         jaise koi Gunaah kiya ho

         Woh har raat Ghar muskurata

         Chehra liye chalte hai.



36) Hasi me apni pyaar bharle,

         Dekh manzil hai aage!

         Mushkil toh Mahel bana na hai munawar

         tu bas logo ke Dilon

         me ghar bana le.




37) Yeh Dhoop chub rahi hai MAA

       Kash tera saaya mujhpe hota



38) Subha mukammal hai, zarur aayegi

         Kaali hai jo Raat yeh, Guzar jayegi

         Tu saaf rakh ke Niyyat ko chalte rehna,

         Yeh Mushkil Raaste mai Manzil Zarur aayegi.



39) Ek tarfaa Mohabaat ke kisse mujhe mat sunao

      Maine uske baad Khud se bhi mohabbat nahi ki.



40) Zulfein jo khole huwe ho, bandh kardo

      Kitne Dil todoge? ab bas kardo

      Ek hi Nazar se Marr jayenge kai

      Suno, Tum yeh kajal lagana bandh kardo



Articles included

Munawar faruqui 

Munawar faruqui full name

Munawar faruqui age

Munawar faruqui shayari

Munawar faruqui shayari in lock up

Munawar faruqui lock up shayari

Munawar faruqui Poetry

Munawar faruqui lock up contestant

Munawar faruqui best shayari

Munawar faruqui Shayari on struggling life

















Popular Posts