Faiz Ahmed Faiz Beautiful Shayari on Love, Justice, Respect and Revolution . Faiz All Time Best Shayari by eachquotes.com

                   Faiz Ahmed Faiz



Faiz Ahmed Faiz, a renowned poet of Urdu was born in February 1911 in Sialkot, British India which is now under Pakistan. He has been described as "a man of wide experience" having been a teacher, an army officer, a journalist, a trade unionist and a broadcaster.He completed his basic education from Church Mission School. In 1935 he was graduated in Arabic and latter got master degree in both English and Arabic. In 1936 he started his career as a English lecturer  at M.A.O. College, Amritsar. 

His subject of poetry was revolution,justice ,love and respect. During his college days he started writing poetry and in 1939 his first collection Naqsh-e-Faryadi was published. His second collection name was ‘Dast-e-saba’ .  His compositions of poetry: Naqsh-e-faryadi, Dast-e-saba, Zindaan Naama, Dast-e- Tah-e-Sang, Sar-e-Wadi-e-Seena, Sham-e-Sheher-e-Yaaran, Mere Dil Mere Musafir. His complete poetry has been published as ‘Nuskhahaae Wafa’. He passed away on 20th Nov 1984 in Lahore.

Here are some of his shayari. Hope you like it. 




1) Aur bhi dukh hain zamane me mohabbat ke siva

rahaten aur bhi hain vasl ki rahat ke siva


2)Qafas udaas hai yaaron sabaa se kuch to kaho
Kaheen to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale


3) Aur kya dekhne ko baaqi hai

aap se dil laga ke dekh liya


4) Vo baat saare fasane me jis ka zikr na tha

vo baat un ko bahut na-gavar guzri hai


5)Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Humaare ashq teri aaqibat sanwaar chale

6) Gulon men rang bhare baad-e-nau-bahar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale


7) maqaam 'faiz' koi raah men jacha hii nahi
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale

8) dono jahan teri mohabbat main haar ke 

vo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke



9) Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain

kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain


10) Dil na-umid to nahi nakam hi to hai

lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai


11) Nahi nigah me manzil to justuju hi sahi

nahi visaal mayassar to aarzu hi sahi

12) ik tarz-e-taġhaful hai so vo un ko mubarak 

ik arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge


13) kar raha tha ġham-e-jahan kaa hisab 

aaj tum yaad be-hisab aae

14) aae to yuun ki jaise hamesha the mehrban 

bhule to yuun ki goya kabhi ashna na the


15) Gar baazi ishq ki baazi hai, jo chahe laga do darr kaisa
Gar jeet gaye to kya kehna, haare to bhi baazi maat nahi

16) zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghadi dard ke paivand lage jaate hain


17) uth kar to aa gaye hain teri bazm se magar 

kuchh dil hi janta hai ki kis dil se aaye haiñ

18) tere qaul-o-qarar se pahle 

apne kuchh aur bhi sahare the



19) be-dam hue bimar dava kyu nahin dete 

tum achchhe masiha ho shifa kyu nahin dete

20) mujh se pahle si mohabbat mere mahboob na maang 

main ne samjha tha ki tu hai to daraḳhshan hai hayat

tera ġham hai to ġham-e-dahr ka jhagda kya hai 

teri surat se hai aalam mein baharon ko sabat 

teri aankho ke siva duniya men rakkha kya hai 

tu jo mil jaaye to taqdeer nigun ho jaaye 

yuun na tha men ne faqat chāhā thā yuun ho jaaye

aur bhi dukh hain zamane men mohabbat ke siva

rahaten aur bhi hain vasl ki rahat ke siva


an-ginat sadiyoñ ke tareek bahimana tilism 

resham o atlas o kamḳhab a men bunvaye hue 

ja-ba-ja bikte hue kucha-o-bazar men jism 

ḳhaak men luthde hue ḳhuun memen nahlaye hue 



jism nikle hue amraz ke tannuron se 

piip bahti hui galte hue nasuron se 

laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kiije 

ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kiije 

aur bhi dukh hain zamane men mohabbat ke siva

rahaten aur bhi vasl ki raahat ke siva

mujh se pehli si mohabbat mere mahboob na maang


Articles included
Faiz Ahmed Faiz, Faiz Ahmed Faiz poetry, Faiz Ahmed Faiz shayari, Faiz Ahmed Faiz biography, Faiz Ahmed Faiz birthday, Faiz Ahmed Faiz nazm, Faiz Ahmed Faiz shayari collection, Faiz Ahmed Faiz Age, Faiz Ahmed Faiz birth place




Popular Posts